Laa ilaaha illallah ki Qubuliyat ki sharten…

🔴بسم الله الرحمن الرحيم🔴

💎Shahadatayn ke maney aur inke talluq se sirzad hone wali galatiya inke arkan-o-shurut, taqazeh aur nawaqis ka bayan…

POST 1⃣

🔶PHELA : Shahadatayn ke maney

☝🏼Laa ilaaha illallah ki shahadat ke maney iss baat ki iteqad rakhne aur iqrar karne ke hai ke ALLAH ke siwa koi ibadat ka musta’haq n nahi  aur is ki pabandi karne aur isske (taqazo) par amal karne ki hai.
💦chunacha (la ilaaha) se ALLAH ke siwa kisi aur ke musta’haq ibadat hone ki nafi hoti hai khawa woh koi bhi ho.

💦Aur (illallah) se is baat ka isbaat hota hai ke ibdat ka haqdar srif aur srif ALLAH hai

💦Ijmali taur par(la mabudh bahaq illallah) yani ALLAH ke illawa ko mabudh barhaq nahi.

💦(La) khabr ki taur par (bahaq) ko muqadar manna wajib hai aaur iski khabr (bamaujudh) muqadar manna jayaz nahi.
💦Islye yeh haqeqat waqyah ke khilaf hai q ke ALLah ke illawa bhaut si mabudh maujudh hai, lihaza iss se yeh lazim aata hai hai ke inn chizo ki ibadat ALLAH Ta’ala ki ibadat hai, aur yeh sabse bada batil hai yeh WAHDATULWAJOOD KE QAYEILEEN KA AQEEDAH HAI JO RUYE ZAMEEN PAR SABSE BADE KAFIR HAI.

ISS KALMAH TAUHEED KI KAYE BATIL TAFSEER KI GAYI HAI INMEIN SE KUCH NICHE BAYAN KIYE GAYE HAI.
🅰 Iska maney yeh hai ALLAH ke ilawa koi mabudh nahi.Yeh maney batil hai islye ke iska matlab yeh hua ke har mabudh kahawa woh haqeeqi ho ya batil ALLAH hai, jaisa ka iska bayan abhi guzra
🅱 Iska maney yeh hai ke Allah ke illawa koi khaliq nahi. yeh iss kalma ke maney ka ek juz hai lekin wahi maqsud nhi , iss liye ke iss mein srf tauheed rabuwiayt ka asabbat hota hai jo kafi nahi hai , yeh tauheed toh mushrikeen bhi maante the
© Iska maney yeh hai ke : Allah ke illawa kisi ki hakmiyat nhi (ALLah ke illawa koi hakim nhi) yeh bhi is maney ka ek hissa hai, yahi maqsud asali nahi , lihaza yeh kafi nahi, isliye ke agar koi sakhs ALLAH Ta’ala ko srif hakmiyat mein munfard qarar de AUr ALLah ke illawa kisi dusre ko pukare ya iske liye koi ibadat anjaaam de to woh muwahid (tauheed parst) nahi khailye ga.
🔥MAZKURA TEENO TAFSEER BATIL YA NAQIS HAI  HUMNE ISS BARE ISSLYE TANBEE KI HAI KE BAAZ MARWAJA KITABON MEIN PAYE JATI HAI.

SALAF KE NAZDEEK ISS KALMAH KI SAHIH TAFSEER YEH HAI KE “ALLAH KE SIWA KO MABUDH BARHAQ NAHI” JIASE KE UPPER GUZAR CHUKA HAI.
🔥💦🔥💦🔥💦🔥💦©💦🔥

Source : Aqeedah_ut_tawhid
📝Taleef : Dr. Saleh bin Fawzaan
✏Translated by : Ataa ur Rahman Ziya Ullah

To be continued In Sha Allah..

 

Leave a comment